Whole month away
Wedneday, November 30 2005..... and that completes my "first calendar month outside India".
Wedneday, November 30 2005..... and that completes my "first calendar month outside India".
Wo kamra yaad aata hai
Dabeez aur khaasa bhaari kuch zara mushkil se khulne waala
wo sheesham ka darwaaza
Ki jaise koi akkhad baap apne khurdare seene mein
shafqat ke samandar ko chuupaye ho
Wo kursi, aur uske saath wo judwaan bahen uski
Wo dono dost thein meri
Wo ik gustakh munhphat aaina,
jo dil ka achchha tha
Wo behangam si almari,
jo kone mein khadi ik boodhi anna ki tarah
aaine ko tambeeh karti thee
Wo ik guldaan, nanha sa, bahut shaitan,
un dono pe hansta tha
Dareecha ya zahanat se bhari ik muskurahat
aur dareeche pe jhuki wo bel
Koi sabz sargoshi
Kitabein taakh mein aur shelf par sanjeeda ustaani bani baithein
Magar sab muntazir is baat ki main unse kuchh poochoon
Sirhane neend ka saathi, thakan ka charagar wo narm dil takiya
Main jiski god mein sir rakh ke chhat ko dekhta tha
Chhat ki kadiyon mein na jane kitne afsanon ki kadiyaan thein
Wo chhoti mez par aur saamne deewar par aawezaan tasveerein
Mujhe apnaiyat aur yaqeen se dekhtein thein, muskuratein thein
Unhein shak bhi nahi tha, ik din main unko aise chhod jaoonga
Main ik din yoon bhi jaoonga, ki phir wapas na aaoonga
Wo kamra baat karta tha....!